sho.ala-e-ishq bujhānā bhī nahīñ chāhtā hai
vo magar ḳhud ko jalānā bhī nahīñ chāhtā hai
us ko manzūr nahīñ hai mirī gumrāhī bhī
aur mujhe raah pe laanā bhī nahīñ chāhtā hai
jab se jaanā hai ki maiñ jaan samajhtā huuñ use
vo hiran chhoḌ ke jaanā bhī nahīñ chāhtā hai
sair bhī jism ke sahrā kī ḳhush aatī hai magar
der tak ḳhaak uḌānā bhī nahīñ chāhtā hai
kaise us shaḳhs se tābīr pe isrār kareñ
jo hameñ ḳhvāb dikhānā bhī nahīñ chāhtā hai
apne kis kaam meñ lā.egā batātā bhī nahīñ
ham ko auroñ pe gañvānā bhī nahīñ chāhtā hai
mere lafzoñ meñ bhī chhuptā nahīñ paikar us kā
dil magar naam batānā bhī nahīñ chāhtā hai