sarhadeñ achchhī ki sarhad pe na ruknā achchhā
sochiye aadmī achchhā ki parinda achchhā
aaj tak haiñ usī kūche meñ nigāheñ ābād
sūrateñ achchhī charāġh achchhe darīcha achchhā
ek chullū se bhare ghar kā bhalā kyā hogā
ham ko bhī nahr se pyāsā palaT aanā achchhā
phuul chehroñ se bhī pyāre to nahīñ haiñ jañgal
shaam ho jaa.e to bastī hī kā rasta achchhā
raat bhar rahtā hai zaḳhmoñ se charāġhāñ dil meñ
raftagāñ tum ne lagā rakkhā hai mela achchhā
jā ke ham dekh chuke band hai darvāza-e-shahr
ek raat aur ye rukne kā bahāna achchhā