qadam uThe to galī se galī nikaltī rahī
nazar diye kī tarah chaukhaToñ pe jaltī rahī
kuchh aisī tez na thī us ke intizār kī aañch
ye zindagī hī mirī barf thī pighaltī rahī
saroñ ke phuul sar-e-nok-e-neza hañste rahe
ye fasl sūkhī huī Tahniyoñ pe phaltī rahī
hatheliyoñ ne bachāyā bahut charāġhoñ ko
magar havā hī ajab zāviye badaltī rahī
dayār-e-dil meñ kabhī sub.h kā gajar na bajā
bas ek dard kī shab saarī umr Dhaltī rahī
maiñ apne vaqt se aage nikal gayā hotā
magar zamīñ bhī mire saath saath chaltī rahī