tamām jalnā jalānā fasāna hotā huā
charāġh lambe safar par ravāna hotā huā
ajab gudāz parinde badan meñ uḌte hue
use gale se lagā.e zamāna hotā huā
harī zamīn sulagne lagī to raaz khulā
ki jal gayā vo shajar shāmiyāna hotā huā
nazar meñ Thahrī huī ek raushnī kī lakīr
ufuq pe sāya-e-shab be-karāna hotā huā
riqābateñ mirā ohda bahāl kartī huī
maiñ jaan dene ke fan meñ yagāna hotā huā