toḌ dī us ne vo zanjīr hī dildārī kī
aur tash.hīr karo apnī giraftārī kī
ham to sahrā hue jaate the ki us ne aa kar
shahr ābād kiyā nahr-e-sabā jaarī kī
ham bhī kyā shai haiñ tabī.at milī sayyāra-shikār
aur taqdīr milī āhū-e-tātārī kī
itnā saada hai mirā māya-e-ḳhūbī ki mujhe
kabhī aadat na rahī ā.ina-bardārī kī
mire gum-gashta ġhazāloñ kā pata pūchhtā hai
fikr rakhtā hai masīhā mirī bīmārī kī
us ke lahje meñ koī chiiz to shāmil thī ki aaj
dil pe is harf-e-ināyat ne girāñ-bārī kī