us kī timsāl ko paane meñ zamāne lag jaa.eñ
ham agar ā.īna-ḳhānoñ hī meñ jaane lag jaa.eñ
kyā tamāshā hai ki jab bikne pe raazī ho ye dil
ahl-e-bāzār dukānoñ ko baḌhāne lag jaa.eñ
paañv meñ ḳhaak hī zanjīr-e-girāñ hai ki nahīñ
pūchhnā log jab is shahr se jaane lag jaa.eñ
āshiqī ke bhī kuchh ādāb huā karte haiñ
zaḳhm khāyā hai to kyā hashr uThāne lag jaa.eñ
aur kis tarah kareñ husn-e-ḳhudā-dād kā shukr
sher likhne lageñ tasvīr banāne lag jaa.eñ
kuchh to zāhir ho ki haiñ jashn meñ shāmil ham log
kuchh nahīñ hai to chalo ḳhaak uḌāne lag jaa.eñ