ye shahr-e-zāt bahut hai agar banāyā jaa.e
to kā.enāt ko kyuuñ dard-e-sar banāyā jaa.e
zarā sī der ko ruk kar kisī jazīre par
samundaroñ kā safar muḳhtasar banāyā jaa.e
ab ek ḳhema lage dushmanoñ kī bastī meñ
duā-e-shab ko nishān-e-sahar banāyā jaa.e
yahī kaTe hue baazū alam kiye jaa.eñ
yahī phaTā huā siina sipar banāyā jaa.e
sunā ye hai ki vo dariyā utar gayā āḳhir
to aao phir usī retī pe ghar banāyā jaa.e
ajab masāf sukūt o suḳhan meñ jaarī hai
kise vasīla-e-arz-e-hunar banāyā jaa.e