Irfan Siddiqi

raat ek shahr ne taza kiye manzar apne

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
raat ik shahr ne taaza kiye manzar apne
niiñd ā.ankhoñ se uḌī khol ke shahpar apne
tum sar-e-dasht-o-chaman mujh ko kahāñ DhūñDte ho
maiñ to har rut meñ badal detā huñ paikar apne
yahī vīrāna bachā thā to ḳhudā ne āḳhir
rakh diye dil meñ mire saat samundar apne
roz vo shaḳhs sadā de ke palaT jaatā hai
maiñ bhī rahtā huñ bahut jism se bāhar apne
kis qadar pās-e-muravvat hai vafādāroñ ko
mere siine meñ chhupā rakkhe haiñ ḳhanjar apne
koī sultān nahīñ mere sivā merā sharīk
masnad-e-ḳhāk pe baiThā huñ barābar apne
Top Urdushayar.com