Qateel Shifai

gareban dar gareban nukta-arai bhi hoti hai

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
garebāñ dar garebāñ nukta-ārā.ī bhī hotī hai
bahār aa.e to dīvānoñ kī rusvā.ī bhī hotī hai
ham un kī bazm tak jā hī pahuñchte haiñ kisī sūrat
agarche raah meñ dīvār-e-tanhā.ī bhī hotī hai
bikhartī hai vahī akasr ḳhizāñ-parvar bahāroñ meñ
chaman meñ jo kalī pahle se murjhā.ī bhī hotī hai
ba-nām-e-kufr-o-īmāñ be-muravvat haiñ jahāñ donoñ
vahāñ shaiḳh-o-barahman kī shanāsā.ī bhī hotī hai
chamaktī hai koī bijlī to sham-e-rahguzar ban kar
nigāh-e-barham in kī kuchh to sharmā.ī bhī hotī hai
'qatīl' us dam bhī rahtā hai yahī ehsās-e-mahrūmī
jab un shānoñ pe zulfoñ kī ghaTā chhā.ī bhī hotī hai
Top Urdushayar.com