lapaT sī daaġh kuhan kī taraf se aatī hai
jab ik havā tire tan kī taraf se aatī hai
maiñ terī manzil-e-jāñ tak pahuñch to saktā huñ
magar ye raah badan kī taraf se aatī hai
ye mushk hai ki mohabbat mujhe nahīñ ma.alūm
mahak sī mere hiran kī taraf se aatī hai
pahāḌ chup haiñ to ab reg-zār bolte haiñ
nidā-e-koh ḳhutan kī taraf se aatī hai
kisī ke vāda-e-fardā ke barg-o-bār kī ḳhair
ye aag hijr ke ban kī taraf se aatī hai
jugoñ ke kho.e huoñ ko pukārtā hai ye kaun
sadā to ḳhāk-e-vatan kī taraf se aatī hai