bhuul jāoge ki rahte the yahāñ dūsre log
kal phir ābād kareñge ye muġhāñ dūsre log
daf bajātī huī sahrāoñ se aa.egī havā
aur phir hoñge yahāñ raqs-kunāñ dūsre log
jal-bhunjeñge ki ham is raat ke īñdhan hī to haiñ
ḳhair dekheñge na.ī raushaniyāñ dūsre log
ham ne ye kār-e-junūñ kar to diyā hai āġhāz
toḌ Dāleñge ye zanjīr-e-girāñ dūsre log
ye bhī gum-karda zamānoñ kī zabāñ bolte haiñ
apne hī log haiñ ai ham-safarāñ dūsre log
tiir chalte raheñge haath badalte raheñge
gardaneñ ham to uThā leñge nishāñ dūsre log