ga.e dinoñ ke daraḳhshanda rābtoñ se na ruuTh
mire ḳhulūs ke tābinda silsiloñ se na ruuTh
mohabbatoñ kī vafā-kesh bārishoñ se na ruuTh
kisī se ruuTh magar apne dostoñ se na ruuTh
ḳhizāñ kī zard havā.eñ tirī talāsh meñ haiñ
chaman se ruuTh daraḳhtoñ kī Tahniyoñ se na ruuTh
palaT na jaa.eñ hamesha ko tere āñgan se
gudāz lamhoñ kī be-ḳhvāb āhaToñ se na ruuTh
aziiz jaan khulī khiḌkiyoñ kī ḳhushbū ko
galī se tark-e-marāsim sahī gharoñ se na ruuTh
gumān-o-vaham ke be-nām jhuTpuToñ se nikal
zabāñ na khol magar dil kī dhaḌkanoñ se na ruuTh
javāñ rutoñ ko gale se lagā ke jī 'irfān'
dil-o-nazar ke ziyā-bār mausamoñ se na ruuTh