Irfan Siddiqi

KHwab mein bhi meri zanjir-e-safar ka jagna

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
ḳhvāb meñ bhī merī zanjīr-e-safar kā jāgnā
aañkh kyā lagnā ki ik saudā-e-sar kā jāgnā
agle din kyā hone vaalā thā ki ab tak yaad hai
intizār-e-sub.h meñ vo saare ghar kā jāgnā
bastiyoñ se shab-navardoñ kā chalā jaanā magar
raat bhar ab bhī charāġh-e-rahguzar kā jāgnā
āḳhirī ummīd kā mahtāb jal bujhne ke ba.ad
merā so jaanā mire dīvār-o-dar kā jāgnā
phir havāoñ se kisī imkān kī milnā naved
phir lahū meñ ārzū-e-tāza-tar kā jāgnā
ek din us lams ke asrār khulnā jism par
ek shab is ḳhaak meñ barq-o-sharar kā jāgnā
is kā harf-e-muḳhtasar bedāriyoñ kā silsila
lafz meñ ma.anī kaa, ma.anī meñ asar kā jāgnā
be-navā patte bhī āyāt-e-numū paḌhte hue
tum ne dekhā hai kabhī shāḳh-e-shajar kā jāgnā
yak-ba-yak har raushnī kā Duub jaanā aur phir
āsmāñ par ik tilsm-e-sīm-o-zar kā jāgnā
Top Urdushayar.com