sar-e-taslīm hai ḳham izn-e-uqūbat ke baġhair
ham to sarkār ke maddāh haiñ ḳhil.at ke baġhair
sar-barahna huuñ to kyā ġham hai ki ab shahr meñ log
barguzīda hue dastār-e-fazīlat ke baġhair
dekh tanhā mirī āvāz kahāñ tak pahuñchī
kyā safar tai nahīñ hote haiñ rifāqat ke baġhair
ishq meñ 'mīr' ke ādāb na barto ki yahāñ
kaam chaltā nahīñ ailān-e-mohabbat ke baġhair
ret par thak ke girā huuñ to havā pūchhtī hai
aap is dasht meñ kyuuñ aa.e the vahshat ke baġhair