kuchh harf o suḳhan pahle to aḳhbār meñ aayā
phir ishq mirā kūcha o bāzār meñ aayā
ab āḳhir-e-shab dard kā bhaTkā huā rahvār
aayā bhī to shahr-e-lab-o-ruḳhsār meñ aayā
kyā naqsh huā dil ke andhere meñ numūdār
kyā rozan-e-raushan mirī dīvār meñ aayā
hairāñ huuñ ki phir us ne na kī sabr kī tākīd
baazū jo mirā bāzu-e-dildār meñ aayā
ye ā.ina-guftār koī aur hai mujh meñ
sochā bhī na thā maiñ ne jo iz.hār meñ aayā
hāsil na huā mujh ko vo mahtāb to mābūd
kyā farq tire sābit o sayyār meñ aayā