muravvatoñ pe vafā kā gumāñ bhī rakhtā thā
vo aadmī thā ġhalat-fahmiyāñ bhī rakhtā thā
bahut dinoñ meñ ye bādal idhar se guzrā hai
mirā makān kabhī sā.ebāñ bhī rakhtā thā
ajiib shaḳhs thā bachtā bhī thā havādis se
phir apne jism pe ilzām-e-jāñ bhī rakhtā thā
Dubo diyā hai to ab is kā kyā gila kiije
yahī bahāo safīne ravāñ bhī rakhtā thā
tū ye na dekh ki sab Tahniyāñ salāmat haiñ
ki ye daraḳht thā aur pattiyāñ bhī rakhtā thā
har ek zarra thā gardish meñ āsmāñ kī tarah
maiñ apnā paañv zamīñ par jahāñ bhī rakhtā thā
lipaT bhī jaatā thā aksar vo mere siine se
aur ek fāsla sā darmiyāñ bhī rakhtā thā