Qateel Shifai

haalat ke qadmon pe qalandar nahin girta

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
hālāt ke qadmoñ pe qalandar nahīñ girtā
TuuTe bhī jo taarā to zamīñ par nahīñ girtā
girte haiñ samundar meñ baḌe shauq se dariyā
lekin kisī dariyā meñ samundar nahīñ girtā
samjho vahāñ phaldār shajar koī nahīñ hai
vo sahn ki jis meñ koī patthar nahīñ girtā
itnā to huā fā.eda bārish kī kamī kā
is shahr meñ ab koī phisal kar nahīñ girtā
in.aam ke lālach meñ likhe mad.h kisī kī
itnā to kabhī koī suḳhan-var nahīñ girtā
hairāñ hai ka.ī roz se Thahrā huā paanī
tālāb meñ ab kyuuñ koī kañkar nahīñ girtā
us banda-e-ḳhuddār pe nabiyoñ kā hai saaya
jo bhuuk meñ bhī luqma-e-tar par nahīñ girtā
karnā hai jo sar ma.arka-e-zīst to sun le
be-bāzū-e-haidar dar-e-ḳhaibar nahīñ girtā
qaa.em hai 'qatīl' ab ye mire sar ke sutūñ par
bhauñchāl bhī aa.e to mirā ghar nahīñ girtā
Top Urdushayar.com