khel sab āñkhoñ kā hai saarā hunar āñkhoñ kā hai
phir bhī duniyā meñ ḳhasāra sar-ba-sar āñkhoñ kā hai
ham na dekheñge to ye manzar badal jā.eñge kyā
dekhnā Thahrā to kyā naf-o-zarar āñkhoñ kā hai
sochnā kyā hai abhī kār-e-nazar kā mā-hasal
ham to yuuñ ḳhush haiñ ki āġhāz-e-safar āñkhoñ kā hai
rafta rafta saare chehre darmiyāñ se haT ga.e
ek rishta aaj bhī baaqī magar āñkhoñ kā hai
rāsta kyā kyā charāġhoñ kī tarah takte the log
silsila āñkhoñ meñ tā-hadd-e-nazar āñkhoñ kā hai
thak chuke donoñ tamāsha-gāh-e-ālam dekh kar
aao so jaa.eñ ki in āñkhoñ meñ ghar āñkhoñ kā hai