ham se vo jān-e-suḳhan rabt-e-navā chāhtī hai
chāñd hai aur charāġhoñ se ziyā chāhtī hai
us ko rahtā hai hamesha marī vahshat kā ḳhayāl
mere gum-gashta ġhazāloñ kā patā chāhtī hai
maiñ ne itnā use chāhā hai ki vo jān-e-murād
ḳhud ko zanjīr-e-mohabbat se rihā chāhtī hai
chāhtī hai ki kahīñ mujh ko bahā kar le jaa.e
tum se baḌh kar to mujhe mauj-e-fanā chāhtī hai
ruuh ko ruuh se milne nahīñ detā hai badan
ḳhair ye biich kī dīvār girā chāhtī hai
ham parindoñ se ziyāda to nahīñ haiñ āzād
ghar ko chalte haiñ ki ab shaam huā chāhtī hai
ham ne in lafzoñ ke pīchhe hī chhupāyā hai tujhe
aur inhīñ se tirī tasvīr banā chāhtī hai