zarā sā vaqt kahīñ be-sabab guzārte haiñ
chalo ye shaam sar-e-jū-e-lab guzārte haiñ
tū ik charāġh-e-jahān-e-digar hai kyā jaane
ham is zamīn pe kis tarah shab guzārte haiñ
hamārā ishq hī kyā hai guzārne vaale
yahāñ to nazr meñ naam o nasab guzārte haiñ
ḳhirāj maañg rahī hai vo shāh-bānu-e-shahr
so ham bhī hadiya-e-dast-e-talab guzārte haiñ
sunā to hogā ki jañgal meñ mor nāchtā hai
ham is ḳharābe meñ fasl-e-tarab guzārte haiñ