unhīñ kī shah se unheñ maat kartā rahtā huuñ
sitamgaroñ kī mudārāt kartā rahtā huuñ
yahāñ koī nahīñ suntā hadis-e-dil-zadagāñ
magar maiñ aur tarah baat kartā rahtā huuñ
bhalā ye umr koī kārobār-e-shauq kī hai
bas ik talāfi-e-māfāt kartā rahtā huuñ
ye kā.enāt mire bāl-o-par ke bas kī nahīñ
to kyā karūñ safar-e-zāt kartā rahtā huuñ
yahīñ pe vār-e-harīfāñ uThānā paḌtā hai
yahīñ hisāb-e-musāvāt kartā rahtā huuñ
ajab nahīñ kisī koshish meñ kāmrāñ ho jā.ūñ
mohabbatoñ kī shurūāt kartā rahtā huuñ
hamesha kāsa-e-ḳhālī chhalaktā rahtā hai
faqīr huuñ so karāmāt kartā rahtā huuñ