Irfan Siddiqi

zehn ho tang to phir shoKHi-e-afkar na rakh

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
zehn ho tañg to phir shoḳhī-e-afkār na rakh
band tah-ḳhānoñ meñ ye daulat-e-bedār na rakh
zaḳhm khānā hī jo Thahrā to badan terā hai
ḳhauf kā naam magar lazzat-e-āzār na rakh
ek hī chiiz ko rahnā hai salāmat pyāre
ab jo sar shānoñ pe rakkhā hai to dīvār na rakh
ḳhvāhisheñ toḌ na Dāleñ tire siine kā qafas
itne shah-zor parindoñ ko giraftār na rakh
ab maiñ chup huñ to mujhe apnī dalīloñ se na kaaT
merī TuuTī huī talvār pe talvār na rakh
aaj se dil bhī tire haal meñ hotā hai sharīk
le ye hasrat bhī mirī chashm-e-gunahgār na rakh
vaqt phir jaane kahāñ us se milā de tujh ko
is qadar tark-e-mulāqāt kā pindār na rakh
Top Urdushayar.com