Irfan Siddiqi

ab ke sahra mein ajab barish ki arzani hui

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
ab ke sahrā meñ ajab bārish kī arzānī huī
fasl-e-imkāñ ko numū karne meñ āsānī huī
pyaas ne āb-e-ravāñ ko kar diyā mauj-e-sarāb
ye tamāshā dekh kar dariyā ko hairānī huī
sar se saare ḳhvān ḳhushbū ke bikhar kar rah ga.e
ḳhāk-e-ḳhema tak havā pahuñchī to dīvānī huī
duur tak uḌne lagī gard-e-sadā zanjīr kī
kis qadar dīvār-e-zindāñ ko pashemānī huī
tum hī sadiyoñ se ye nahreñ band karte aa.e ho
mujh ko lagtī hai tumhārī shakl pahchānī huī
Top Urdushayar.com