Irfan Siddiqi

shahab-chehra koi gum-shuda sitara koi

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
shahāb-chehra koī gum-shuda sitāra koī
huā tulūa ufuq par mire dobāra koī
umīd-vāroñ pe khultā nahīñ vo bāb-e-visāl
aur us ke shahr se kartā nahīñ kināra koī
magar giraft meñ aatā nahīñ badan us kā
ḳhayāl DhūñDhtā rahtā hai isti.āra koī
kahāñ se aate haiñ ye ghar ujālte hue lafz
chhupā hai kyā mirī miTTī meñ māh-pāra koī
bas apne dil kī sadā par nikal chaleñ is baar
ki sab ko ġhaib se miltā nahīñ ishāra koī
gumāñ na kar ki huā ḳhatm kār-e-dil-zadagāñ
ajab nahīñ ki ho is raakh meñ sharāra koī
agar nasīb na ho us qamar kī ham-safrī
to kyuuñ na ḳhāk-e-guzar par kare guzāra koī
Top Urdushayar.com