jhamakte jhūmte mausam kā dhokā khā rahā huuñ maiñ
bahut lahrā.e haiñ bādal magar pyāsā rahā huuñ maiñ
huī jab dhuup kī bārish mire sar par to kyā hogā
daraḳhtoñ ke ghane sāyoñ meñ bhī sañvlā rahā huuñ maiñ
vahī kuchh kar rahā huuñ jo kiyā mere buzurgoñ ne
na.e zehnoñ pe apne tajrbe barsā rahā huuñ maiñ
ye tohmat ḳhaak tohmat hai mire ham-jurm ham-sāyo
tumhārī umr meñ tum se kahīñ rusvā rahā huuñ maiñ
ḳhayāl aatā hai bāzāroñ kī raunaq dekh kar mujh ko
bhare dariyā meñ tinkā ban ke bahtā jā rahā huuñ maiñ
tirī āġhosh chhūTī to milī vo bad-duā mujh ko
ki ab apnī hī bāñhoñ meñ simaTtā jā rahā huuñ maiñ
'qatīl' ab tak nadāmat hai mujhe tark-e-mohabbat par
zarā sā jurm kar ke aaj bhī pachhtā rahā huuñ maiñ