Qateel Shifai

kaise kaise bhed chhupe hain pyar bhare iqrar ke pichhe

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
kaise kaise bhed chhupe haiñ pyaar bhare iqrār ke pīchhe
koī patthar taan rahā hai shīshe kī dīvār ke pīchhe
dil meñ aag lagā jaatā hai ye bin yaar bahār kā mausam
ek tapish bhī hotī hai is ThanDī sī phuvār ke pīchhe
soch abhī se phir kyā hogā biit ga.ī jab raat milan kī
ek udāsī rah jā.egī paa.el kī jhankār ke pīchhe
kaun lagā.e khoj kisī kā ḳhud-ġharzī ke is jañgal meñ
miltā hai insān yahāñ bhī lekin ek hazār ke pīchhe
nañgī ho kar naach rahī hai bhūkī rūhoñ kī majbūrī
jhāñk sako to jhāñk ke dekho jismoñ ke ambār ke pīchhe
ye hākim bhī dost hai merā ye nāseh bhī merā hamdam
kitne hī ġham-ḳhvār paḌe haiñ ek tire bīmār ke pīchhe
terā to ik dil TuuTā hai yaar 'qatīl' udaas na ho tū
log to jaañ bhī de dete haiñ pyāre apne yaar ke pīchhe
Top Urdushayar.com