Qateel Shifai

khula hai jhuT ka bazar aao sach bolen

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
khulā hai jhuuT kā bāzār aao sach boleñ
na ho balā se ḳharīdār aao sach boleñ
sukūt chhāyā hai insāniyat kī qadroñ par
yahī hai mauqa-e-iz.hār aao sach boleñ
hameñ gavāh banāyā hai vaqt ne apnā
ba-nām-e-azmat-e-kirdār aao sach boleñ
sunā hai vaqt kā hākim baḌā hī munsif hai
pukār kar sar-e-darbār aao sach boleñ
tamām shahr meñ kyā ek bhī nahīñ mansūr
kaheñge kyā rasan-o-dār aao sach boleñ
bajā ki ḳhū-e-vafā ek bhī hasīñ meñ nahīñ
kahāñ ke ham bhī vafādār aao sach boleñ
jo vasf ham meñ nahīñ kyuuñ kareñ kisī meñ talāsh
agar zamīr hai bedār aao sach boleñ
chhupā.e se kahīñ chhupte haiñ daaġh chehre ke
nazar hai ā.ina-bardār aao sach boleñ
'qatīl' jin pe sadā pattharoñ ko pyaar aayā
kidhar ga.e vo gunahgār aao sach boleñ
Top Urdushayar.com