ghanghor ghaTā ke āñchal ko jab kaalī raat nichoḌ ga.ī
ik tanhā.ī ko chain milā ik tanhā.ī dam toḌ ga.ī
ai vaqt ke andhe rakhvālo ye raaz to ham bhī jānte haiñ
be-vaj.h tumhārī āñkhoñ se kyuuñ bīnā.ī muñh moḌ ga.ī
ik vo bhī safīna thā apnā jo sāhil sāhil ghuum gayā
ik ye bhī hamārī kashtī hai jo lahroñ meñ sar phoḌ ga.ī
har chand nazar ne tāroñ par shab-ḳhūn to maarā hai lekin
ye raat sahar ke dāman par kuchh daaġh lahū ke chhoḌ ga.ī
insān kā raushan mustaqbil jis vaqt charāġh-e-rāh banā
har manzil apne qadmoñ se tārīḳh kā naata joḌ ga.ī