ye mo.ajiza bhī mohabbat kabhī dikhā.e mujhe
ki sañg tujh pe gire aur zaḳhm aa.e mujhe
maiñ apne paañv tale rauñdtā huuñ saa.e ko
badan mirā hī sahī dopahar na bhaa.e mujhe
ba-rañg-e-ūd milegī use mirī ḳhushbū
vo jab bhī chāhe baḌe shauq se jalā.e mujhe
maiñ ghar se terī tamannā pahan ke jab niklūñ
barahna shahr meñ koī nazar na aa.e mujhe
vahī to sab se ziyāda hai nukta-chīñ merā
jo muskurā ke hamesha gale lagā.e mujhe
maiñ apne dil se nikālūñ ḳhayāl kis kis kā
jo tū nahīñ to koī aur yaad aa.e mujhe
zamāna dard ke sahrā tak aaj le aayā
guzār kar tirī zulfoñ ke saa.e saa.e mujhe
vo merā dost hai saare jahāñ ko hai ma.alūm
daġhā kare vo kisī se to sharm aa.e mujhe
vo mehrbāñ hai to iqrār kyuuñ nahīñ kartā
vo bad-gumāñ hai to sau baar āzmā.e mujhe
maiñ apnī zaat meñ nīlām ho rahā huuñ 'qatīl'
ġham-e-hayāt se kah do ḳharīd laa.e mujhe