mil-jul ke barahna jise duniyā ne kiyā hai
us dard ne ab merā badan oḌh liyā hai
maiñ ret ke dariyā pe khaḌā soch rahā huuñ
is shahr meñ paanī to yazīdoñ ne piyā hai
ai gor-kanoñ qabr kā de kar mujhe dhokā
tum ne to ḳhalāoñ meñ mujhe gaaḌ diyā hai
maiñ sāhab-e-izzat huuñ mirī laash na kholo
dastār ke purzoñ se kafan maiñ ne siyā hai
phailā hai tirā karb 'qatīl' aadhī sadī par
hairat hai ki tū itne baras kaise jiyā hai