Qateel Shifai

haalat ki ujDi mahfil mein ab koi sulagta saz nahin

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
hālāt kī ujḌī mahfil meñ ab koī sulagtā saaz nahīñ
naġhme to lapakte haiñ lekin sho.aloñ sā kahīñ andāz nahīñ
har barg-e-hasīñ ko dete haiñ zaḳhmoñ ke mahakte nazrāne
kāñToñ se baḌā is gulshan meñ phūloñ kā koī dam-sāz nahīñ
yā sāya-e-gul kā hai ye karam yā farq hai daane paanī kā
panchhī to vahī haiñ gulshan meñ pahlī sī magar parvāz nahīñ
marqad sā banā hai ḳhushbū kā muñh band kalī ke siine meñ
ai shām-e-gulistāñ tū hī batā ye bhī to kisī kā raaz nahīñ
chhilke na subū aur jhuum uTheñ qatra na mile aur pyaas bujhe
ye zarf hai piine vāloñ kā saaqī kā koī e.ajāz nahīñ
ai sehn-e-chaman ke zindānī kar jashn-e-tarab kī tayyārī
bajte haiñ bahāroñ ke kañgan zanjīr kī ye āvāz nahīñ
Top Urdushayar.com