sulagtī ret meñ ik chehra aab sā chamkā
udaas ā.ankhoñ meñ jiine kā hausla chamkā
añdherī raat meñ ye kis kā naqsh-e-pā chamkā
musāfiroñ kī nigāhoñ meñ rāsta chamkā
shab-e-firāq meñ koī sitāra TuuTā to
hamārī soch meñ an-jānā vasvasa chamkā
fazā meñ phail ga.e kitne yaad ke jugnū
dayār-e-shauq meñ jab koī rat-jagā chamkā
udāsiyoñ ke añdhere Darā rahe the mujhe
ki hāfize meñ achānak tirā kahā chamkā
bikhar rahī hai ḳhayāloñ meñ ḳhvāb kī ḳhushbū
vajūd ban ke kahāñ koī ḳhush-adā chamkā
chhupā.e chhup na sakā maiñ to bhiiḌ meñ 'amabar'
na jaane kaise mujhī par vo dā.era chamkā