Brijesh Ambar

aasman hai samundar pe chhaya hua

Brijesh Ambar

Jodhpur, Rajasthan, India

āsmāñ hai samundar pe chhāyā huā
is liye rañg paanī kā niilā huā
vaqt naddī kī mānind bahtā huā
ek lamha magar kyuuñ hai Thahrā huā
thā koī to jo dahlīz par dhar gayā
raat jaltī huī din dahaktā huā
gum-shuda shahr meñ DhūñDhtā huuñ kise
ek ik shakl ko yaad kartā huā
dhūp-jañgal meñ phir kho gayā hai koī
chāñd tāroñ ko āvāz detā huā
dhuup aur lū bharī thiiñ fazā.eñ magar
us kī yādoñ kā mausam thā bhīgā huā
sūrat-e-hāl ambar ajab chiiz hai
us ne dariyā kahā maiñ kināra huā
Top Urdushayar.com