abhī tak un ke vahī sitam haiñ jafā kī ḳhū bhī nahīñ ga.ī hai
vo ranjisheñ bhī nahīñ ga.ī haiñ vo guftugū bhī nahīñ ga.ī hai
nasheman apnā uThā na yaañ se ḳhizāñ jo aa.ī to aa.ī bulbul
bahār ruḳhsat abhī huī hai guloñ kī bū bhī nahīñ ga.ī hai
ga.ī javānī to jaa.e dilbar mujhe hai ulfat hanūz baaqī
vo iltijā bhī nahīñ ga.ī hai vo justujū bhī nahīñ ga.ī hai
ye rashk-e-bulbul ki jaan dene ko tū abhī se taḌap rahī hai
abhī to hai bū-e-gul chaman meñ vo kū-ba-kū bhī nahīñ ga.ī hai
'shabāb' bosa liyā jo maiñ ne to kyā bigaḌ kar vo shoḳh bolā
adab zarā bhī nahīñ hai tujh ko hayā to chhū bhī nahīñ ga.ī hai