dekh kyā terī judā.ī meñ hai hālat merī
koī pahchān nahīñ saktā hai sūrat merī
maiñ tire husn kā ḳhalvat meñ tamāshā.ī huuñ
ā.īna siikh na jaa.e kahīñ hairat merī
aap ne qatl kiyā ḳhair gila mujh ko nahīñ
apne kūche meñ to banvā.iye turbat merī
ḳhatt-e-peshānī meñ saffāk azal ke din se
terī talvār se likkhī hai shahādat merī
de ke ik bosa ajab naaz se dilbar ne kahā
ai 'shabāb' aaj ye tujh par hai ināyat merī