kahāñ furqat meñ hai dildār uThnā baiThnā chalnā
tere āshiq ko hai dushvār uThnā baiThnā chalnā
tumhārā vahshī-e-lāġhar na Thahrā shahr meñ dam bhar
pasand aayā sar-e-kohsār uThnā baiThnā chalnā
faqīrāna kisī ke zer-e-sā.e ham bhī rahte haiñ
hamesha hai pas-e-dīvār uThnā baiThnā chalnā
kaheñ kyā dosto is ishq ne aajiz kiyā ham ko
girāñ hotā hai ab har baar uThnā baiThnā chalnā
'shabāb' is be-ḳhudī meñ mashġhala hai bas yahī baaqī
miyān-e-kūcha-e-dildār uThnā baiThnā chalnā