kabhī bhuul kar bhī na baat kī mujhe dil se aisā bhulā diyā
kahūñ kyā maiñ terī sharārteñ ki jigar ko tū ne jalā diyā
vo banāo karne haiñ baiThte to sabhoñ se lete haiñ ḳhidmateñ
kabhī mal dī missī raqīb ne kabhī surma maiñ ne lagā diyā
ġham-e-ishq kī sunī dāstāñ to kaleja thaam ke yaar ne
ye kahā ki qissa ajiib thā mire dil ko us ne kuḌhā diyā
mire ḳhat ko us ne na jab paḌhā mire nāma-bar ko bhī ġham huā
kahā muddatoñ kā jo aasrā thā vo aaj tum ne miTā diyā
kabhī pūchhā maiñ ne bahisht ko ki batāo to vo hai kis taraf
to 'shabāb' kūcha-e-yār kā mujhe zāhidoñ ne patā diyā