vo parda zīnat-e-dar ke sivā kuchh aur nahīñ
hamāre husn-e-nazar ke sivā kuchh aur nahīñ
surāġh-e-kāhkashāñ ahl-e-dil ko mil hī gayā
tumhārī rāhguzar ke sivā kuchh aur nahīñ
na jaane kaun sā īfā-e-ahd kā din ho
tumheñ to shām-o-sahar ke sivā kuchh aur nahīñ
murādeñ ishq meñ sab ko mileñ magar mujh ko
nasīb dard-e-jigar ke sivā kuchh aur nahīñ
ye kis tilism meñ mujh ko hayāt le aa.ī
jahāñ fareb-e-nazar ke sivā kuchh aur nahīñ
na pūchhiye mirī nākāmī-e-manāzil-e-shauq
husūl-e-gard-e-safar ke sivā kuchh aur nahīñ
vo nā-murād mohabbat huuñ jis ke dāman meñ
sarishk-e-dīda-e-tar ke sivā kuchh aur nahīñ
hayāt-e-ishq kī rūdād kyā kahūñ ai 'saif'
azāb-e-shām-o-sahar ke sivā kuchh aur nahīñ