Saif Bijnori

koi maqam nahin hadd-e-eatibar ke baad

Saif Bijnori

koī maqām nahīñ hadd-e-e.atibār ke ba.ad
kahāñ maiñ sajda karūñ āstān-e-yār ke ba.ad
uThūñ to jā.ūñ kahāñ jā-e-pur-bahār ke ba.ad
kahīñ panāh nahīñ un kī rahguzār ke ba.ad
kahāñ kā azm hai ai dil husūl-e-kār ke ba.ad
ab aur bhī koī ka.aba hai kū-e-yār ke ba.ad
tabāh ham hue bīm-o-rajā meñ āḳhir-e-kār
kuchh intizār se pahle kuchh intizār ke ba.ad
gilā nahīñ hai jafā kā magar savāl ye hai
satā.eñge kise phir aap jāñ-nisār ke ba.ad
kise ḳhabar hai ki guzregī is asiir pe kyā
qafas mile jise rañgīnī-e-bahār ke ba.ad
sahar ke hote hī ruḳhsat huā marīz-e-firāq
jahāñ meñ kaam hī kyā thā ab intizār ke ba.ad
kisī se mashvara-e-tark-e-ishq 'saif' na kar
na sun kisī kī dil āzmūda-kār ke ba.ad
Top Urdushayar.com