Saif Bijnori

mila na dair-o-haram mein kahin nishan un ka

Saif Bijnori

milā na dair-o-haram meñ kahīñ nishāñ un kā
had-e-nigāh se bāhar hai āstāñ un kā
nigāh milte hī ham dil pakaḌ ke baiTh ga.e
lagā jo tīr-e-nazar aa ke nā-gahāñ un kā
kiye haiñ rāh-e-vafā meñ vahīñ vahīñ sajde
milā hai naqsh-e-kaf-e-pā jahāñ jahāñ un kā
haTe na rāh-e-vafā se vafā ke dīvāne
hazār baar liyā tum ne imtihāñ un kā
base hue haiñ vo aise mirī nigāhoñ meñ
kabhī kabhī mujhe ḳhud par huā gumāñ un kā
jinhoñ ne josh-e-vafā meñ bigāḌ lī hastī
zamāna aaj bhī letā hai imtihāñ un kā
hazār dair-o-haram sadd-e-rāh hue ai 'saif'
talāsh kar hī liyā dil ne āstāñ un kā
Top Urdushayar.com