kar ke mas.hūr mujhe chashm-e-karam se pahle
kar diyā mohr-ba-lab us ne sitam se pahle
ik hamīñ ko nahīñ nākāmī-e-qismat kā gilā
nā-murād aur bhī kuchh guzre haiñ ham se pahle
maiñ ḳhatāvār huuñ lekin mirī taqsīr muaaf
aah kab muñh se nikalnī hai sitam se pahle
tū ne ġham de ke mujhe daulat-e-duniyā de dī
zindagī aisī kahāñ thī tire ġham se pahle
pesh hai marhala-e-saḳht ḳhudā ḳhair kare
but-kada raah meñ paḌtā hai haram se pahle
koī samjhā na haqīqat ke rumūz-o-asrār
koī pahuñchā na tirī bazm meñ ham se pahle
qāfile bhaTke hue manzil-e-maqsūd se the
band thī raah mire naqsh-e-qadam se pahle
khel samjhā thā magar tark-e-mohabbat ai 'saif'
ġhaur anjām pe karnā thā qasam se pahle