maiñ yuuñ to ḳhvāb kī ta.abīr sochtā bhī nahīñ
magar vo shaḳhs mire rat-jagoñ kā thā bhī nahīñ
mirā nasīb vo samjhā na baat ishāroñ kī
mirā mizāj ki maiñ saaf kah sakā bhī nahīñ
baḌī girāñ hai mirī jaañ ye kaifiyat mat pūchh
ki in laboñ pe gila bhī nahīñ duā bhī nahīñ
ye zindagī ke ta.āqub meñ roz kā phirnā
agarche is tarah jiine kā hausla bhī nahīñ
ye be-niyāz tabī.at ye be-ḳhudī ke rañg
ham apne aap se ḳhush bhī nahīñ ḳhafā bhī nahīñ
us ek shakl ko jis din se kho diyā hai 'asad'
mire darīche se ab chāñd jhāñktā bhī nahīñ