vo jo sūrat thī saath saath kabhī surḳh mahke gulāb kī sūrat
us kī yādeñ utartī rahtī haiñ zehn-o-dil pe azaab kī sūrat
ye ravayya sahī nahīñ hotā yuuñ hameñ kashmakash meñ mat Daalo
yā hameñ sach kī tarah apnā lo yā bhulā bhī do ḳhvāb kī sūrat
us ne an-dekhā an-sunā kar ke be-ta.alluq kiyā hai to ab ham
us kī tasvīr se nikāleñge āñsuoñ ke hisāb kī sūrat
apnī jhūTī anā kī bātoñ meñ aa ke us ko sulā to baiThe haiñ
ab haiñ sahrāoñ ke musāfir ham aur vo sūrat sarāb kī sūrat