apnī hālat pe aañsū bahāne lage
sard rātoñ meñ ḳhud ko jagāne lage
surḳh tāroñ ke hamrāh kar ke safar
ḳhvāb-zāroñ se kyuuñ aage jaane lage
duur bajne lagī hai kahīñ bāñsurī
ham bhī zindān meñ giit gaane lage
jo basārat basīrat se mahrūm haiñ
shahr ke ā.inoñ ko sajāne lage
ham ne jab hāl-e-dil un se apnā kahā
vo bhī qissa kisī kā sunāne lage
nīstī kā sitam koī kam thā jo tum
apnī hastī kā dukh bhī manāne lage
jab bujhī merī āñkhoñ kī lau 'āsima'
tiira manzar bhī jalva dikhāne lage