Asima Tahir

lafz KHushbu mein Dhaalta manzar

Asima Tahir

Lahore, Punjab, Pakistan

1990
lafz ḳhushbū meñ Dhāltā manzar
lījiye sher ban gayā manzar
kaisā sundar thā ik zamāne meñ
terī āñkhoñ meñ Dūbtā manzar
rañg mausam se uḌ ga.e saare
canvas par paḌā rahā manzar
aap kā jism bhī hai miTTī kā
ek nāzuk sā bhurbhurā manzar
mujh ko hairat se maar Dālegā
aa.ine meñ sajā huā manzar
aah kamre meñ jāgte rahnā
aah khiḌkī meñ so gayā manzar
us ne dāman jhaTak liyā tauba
mere hāthoñ se gir gayā manzar
tum yahāñ the to thā yahīñ par vo
phir daraḳhtoñ meñ jā chhupā manzar
koī āvāz phir se gūñjī hai
ho gayā phir harā-bharā manzar
kis kī aahaT hai suunī galiyoñ meñ
kis kā khultā hai raat kā manzar
koī muflis kī pūñjī ho jaise
joḌtī huuñ zarā zarā manzar
Top Urdushayar.com