Asima Tahir

apni aankhen jo band kar dekhun

Asima Tahir

Lahore, Punjab, Pakistan

1990
apnī āñkheñ jo band kar dekhūñ
sabz ḳhvāboñ kā maiñ safar dekhūñ
Dūbne kī na tairne kī ḳhabar
ishq-dariyā meñ bas utar dekhūñ
ba.ad us ke nahīñ ḳhabar kyā hai
aa.ine tak to chashm tar dekhūñ
dil meñ bajtā huā dhaḌaktā huā
apnī tanhā.ī kā gajar dekhūñ
bain kartī huī bahāroñ meñ
ḳhud meñ ik shor-e-ḳhair-o-shar dekhūñ
ḳhvāb kī lahlahātī vaadī meñ
ḳhushbuoñ se banā nagar dekhūñ
āsmāñ le rahā hai añgḌā.ī
titliyoñ ke nagar meñ Dar dekhūñ
mauja-e-gul ke haath meñ lipTī
'āsima' dasht kī ḳhabar dekhūñ
Top Urdushayar.com