Asima Tahir

kis ke matam mein ro rahi hai raat

Asima Tahir

Lahore, Punjab, Pakistan

1990
kis ke mātam meñ ro rahī hai raat
chhup ke bāñhoñ meñ so rahī hai raat
dukh hai Thahrā huā nigāhoñ meñ
terī yādeñ bilo rahī hai raat
mujh ko ḳhvāboñ ke baaġh meñ lā kar
ghane jañgal meñ kho rahī hai raat
raushnī ne lagā.e jo ilzām
bahtī āñkhoñ se dho rahī hai raat
is ko bāñhoñ meñ bhar rahī huuñ maiñ
chāñd ḳhud meñ samo rahī hai raat
vasl kā din tulūa honā hai
maiñ to ḳhush huuñ ki ho rahī hai raat
Top Urdushayar.com