ḳhud maiñ dhūnī ramā.e baiThī huuñ
aaj ḳhud ko bhulā.e baiThī huuñ
jaane vāloñ kā intizār nahīñ
apne raste meñ aa.e baiThī huuñ
us kī āñkhoñ meñ hai tilism koī
apnā chehra luTā.e baiThī huuñ
chāñd ko taish aa rahā hai ki maiñ
kyuuñ nazar ko milā.e baiThī huuñ
phuul khilte haiñ mujh meñ sheroñ ke
ek misra samā.e baiThī huuñ
rāhguzar ehtirām kar merā
maiñ kisī ke bulā.e baiThī huuñ
har ḳhushī zard ho ga.ī jaise
ik aziyyat bhulā.e baiThī huuñ
aa.ine par to hai bharosā mujhe
us se kyuuñ muñh chhupā.e baiThī huuñ
chubh rahī hai añdherī raat mujhe
har sitāra bujhā.e baiThī huuñ