Asima Tahir

pau phaTte hi train ki siTi jab kanon mein gunjti hai

Asima Tahir

Lahore, Punjab, Pakistan

1990
pau phaTte hī train kī siiTī jab kānoñ meñ gūñjtī hai
sarvat terī yaad mire dil ke ḳhānoñ meñ gūñjtī hai
shahzādī ke hijr meñ likhhe kuchh lafzoñ kī hairānī
shahzādī ke ghar tak aate mai-ḳhānoñ meñ gūñjtī hai
shahzādī ke kānoñ meñ jo baat kahī thī ik tū ne
ba.ad tire vo baat tire hī afsānoñ meñ gūñjtī hai
jaan se jaane se pahle ik aah bharī hogī tū ne
shaam Dhale jo duur kahīñ ab vīrānoñ meñ gūñjtī hai
Top Urdushayar.com