manzil jo maiñ ne paa.ī to shashdar bhī maiñ hī thā
vo is liye ki raah kā patthar bhī maiñ hī thā
shak ho chalā thā mujh ko ḳhud apnī hī zaat par
jhāñkā to apne ḳhol ke andar bhī maiñ hī thā
hoñge mire vajūd ke saa.e alag alag
varna barūn-e-dar bhī pas-e-dar bhī maiñ hī thā
pūchh us se jo ravāna hue kaaT kar mujhe
rāh-e-vafā meñ shāḳh-e-sanobar bhī maiñ hī thā
āsūda jis qadar vo huā mujh ko oḌh kar
kal raat us ke jism kī chādar bhī maiñ hī thā
mujh ko Darā rahī thī zamāne kī ham-sarī
dekhā to apne qad ke barābar bhī maiñ hī thā
ā.īna dekhne pe jo nādim huā 'qatīl'
mulk-e-zamīr kā vo sikandar bhī maiñ hī thā